HOME __ ENGLISH LYRICS __ BANGLA LYRICS __ HINDI LYRICS __ PAKISTANI LYRICS __DOWNLOAD LATEST MP3

Omer Nadeem - Dil Ka Dia album lyrics
















Saza ki Jaza (Unplugged Demo Home Recording)
Author: Omer Nadeem


yeh saza ki jaza hai
mujhe le ayee yahan
k hawa k paron pe
hai mera aashiyan

dil meray tu bata
dhoondon mein khud ko kahan
kho gaya mein kahan
tanhayee hai bas jahan

neend urh rahi hai
kyun yeh meri raton ki
berung ho rahi hai
duniya meri rangon ki...


Laut Aana (Unplugged Demo Home Recording)
Author: Omer Nadeem


kahan ho tum
tum bin akelay hein
mann mein woh baat
kyun sametay hein

yeh mann agar seh payee toh
yeh ankhein jab bhar jayeen toh

laut anaa
yeh yadein yaad aayeen tohh
lautt aana
yeh yadein yaad aayeen tohh


Saagar (Unplugged Demo Home Recording)
Author: Omer Nadeem


Saagar sa yeh mann
Uthti hai agan
Faaslon mein kyun
Bikhra hua dard

Kehta hai mujhe
Tum na aao ge

Sooni hai yeh raat
Kehti hai tum na aao ge
Haan...


Kin Raaston Pay (unplugged demo home recording)
Author: Omer Nadeem


Kin raaston pay mein chala
Jo dard tha woh barh gaya
Kyun mein ruka kyun mein dara
Kahan jaounga sab kho gaya

Ham kyun rukay
Ham kyun thamay
Ham kyun daray
Ham kyun jalay

Kyun aisi raatein nahi
Yeh aisi baatein nahi
Yeh mujh ko na pata
Yeh mujhe kya hua

Kyun yeh sannaata sa hai
Ya toota waada sa hai
Yeh mujh ko na pata
Yeh mujhe kya hua

Aaj to bol do
Dil ko tum khol do
Mar bhi mein jaaoun to
Dard yeh chor do


Bisaat
Author: Omer Nadeem


Verse I

----------
Kya hai apni bisaat
Dil mein hai phaila hua sehra
Aur aankhon mein hai ek firaat
Har lamha barhta hai siraat

Chorus
---------
Zindagi ki dhool mein
Gum ho gaye hein saaray khwaab
Do pal ka saath hai
Jaise guzre Saraab

Verse II
----------
Kya hai apni bisaat
Mann mein hai sochon ka pehra
Kaise mein dhoondon apni zaat
Ke Andheri hai yeh Raat


Hadd
Author: Omer Nadeem


Palkon mein
Sapnay hein
Meray
Apnay hein

Dil mein armaan hein
Laakh tufaan hein

Kuch na kaho
Khwaab sajaanay do

Manzil pe jaana hai
Rishtaa purana hai
Saath nibhaana hai
Sapna suhaana hai

Mujhe jaanay do
Chain paanay do
Kuch na kaho
Khwaab sajaanay do

Hadd Se Guzar Jaanay Do...


Dil ka Diya
Author: Omer Nadeem


Andheron mein
Ghufaon mein
Sooni shaamon mein
Kaali Raaton mein
Woh Zindagi Kahan

Bujh hai Gaya yeh
DIL KA DIYA
Teray bin laagay
Na mora jiya

Judai ka ghum
Jo tunay diya
Zehar dard ka
Yeh meine piya

Aanhon mein kyun
Ham phir jalay
Andheron mein kyun
Ham phir Jiay
Aankhon mein hein
Kaantay bharay
Saanson mein kyun
Phir tum basay

Bejaan ham
Anjaan tum
Kis ko kahein
Dard-e-jigar

Choro zera
Guzra jo kal
Is pal mein hai
Apna safar
Aagay ki na
Hamko fikar
Raahon mein ham
Gaye ab bikhar

Bejaan ham
Anjaan tum
KYUN phir kahein
Dard-e-jigar

Meri yaadon se
Meray khwaabon se
Meri zindagi se hai
Ab tujhko bhulaana

Teri baahon kay
Teri Aahon kay
Teray har ehsaas ko
Hai bhulana.


Track : Aye Khuda
Artist : Omer Nadeem


sun zara sun zara
aye khuda sun zara
kia bhalaa kia bura hai
tu bata ....
kyun mere saath yeh
tunay aisa kia
na mujhay saath koi bhi milaaaa

ohohhhooohohohooooooo

[waaday bhi jhoote
sapnay bhi tootay
aisa bhi kia hua
meri wafaoun ka yeh sila hai
ya thi meri khata]x2

seh lya seh lya
jo bhi tunay dya
ab nahi dil ko koi bhi gilla
kyun mere saath yeh
tunay aisa kia
na mujhay saath koi bhi milaaaa

ohohhhooohohohooooooo

[raatein na kat'ti
palkein tapakti
kuch saamne dikha
phir dharkanon ko maine kaha hai
zinda hon kia bata]x2

shukrya shukrya
jo bhi teri razaaa
bas yehi meri dil se hai dua
kyun mere saath yeh
tunay aisa kiaaa
na mujhay saath koi bhi milaaaaa

ohohhhooohohohooooooo

No comments:

Post a Comment


Music